Infolinks

Saturday, June 20, 2009

Zindagi ki talash mein....MY FIRST POEM!!

Gumsum hui in aankhon se, dekha jab sitaron ko maine,
socha ho aaun main chand par, zindagi ki talash mein!

Chod kar saari yaadein, bhoola kar saare gham,
chal pada main sagar kinare, zindagi ki talash mein!

Udte panchiyon ko dekhkar, muskurata raha main,
jaana mujhe bhi hai wahi par, zindagi ki talash mein!

Kuch duur jaane par dekha, aasan nahi ye safar hoga,
thokar kai baar khayi hai maine, zindagi ki talash mein!

Na jaaga na soya, chalta raha tab main,
jab mila mujhe wo humsafar, zindagi ki talash mein!

Sab kuch kho kar apna, kho gaya main pyar mein,
khoye huye dil ne phir kaha chal, zindagi ki talash mein!

Aayi jab yaad uski, tab hua ye yakeen humko,
milegi phir humari raahein kahi par, zindagi ki talash mein!

Bhoola kar apni khushi ko, chal pada hu phir main,
na use palat kar dekha hai phir kabhi, zindagi ki talash mein!

Anjaan aasman mein, udta raha bahot duur tak main,
jab ruka..tab bhi chal raha tha main, zindagi ki talash mein!

Anjaan galiyon par, naam apna likh aaya hu main,
ab apna hi naam banane chala hu, zindagi ki talash mein!

Khatm nahi ho raha wo pal, ye lamha nahi kat raha,
phir bhi kat rahi hai ye zindagi, zindagi ki talash mein!

Aakhir mar gaya wo pal, jisme jee raha tha main,
par main mar bhi to nahi sakta, zindagi ki talash mein!

Jo sapne dekhe the maine, saare to pure hue hi nahi,
aur kuch sapne to main dekhna hi bhool gaya, zindagi ki talash mein!

Ab dafan ho raha hu, apni khushi ke saath main,
yaaron mujhe maaf karna
par kab khush hua tha main, zindagi ki talash mein!

© Luv,
Aslam (: