Infolinks

Wednesday, August 17, 2011

Tera hi saaya..

Bas tera hi saaya hai,
Jo aankho pe chaaya hai,
Ab manzil jaani hai maine,
Jab tujhko paaya hai..

Palke khole nahi, tera
Chehra dil me samaya hai,
Aks tera, teri chahat ko,
Maine dil se lagaya hai..
Har jagah tu hi rubaru hai,
Kaise tujhe andekha karu..
Tera hi saaya hai,
Jo aankhon pe chaaya hai,
Ab manzil jaani hai maine,
Jab tujhko paaya hai..

Tere hi honto se,
Guzre dil ki har baat,
Teri khamoshi me bhi,
Maine sargam ko paaya hai,
Berang si zindagi ko tune,
Teri khushboo se sajaya hai..
Tera hi saaya hai,
Jo aankhon pe chaaya hai,
Ab manzil jaani hai maine,
Jab tujhko paaya hai..

Har ghadi me tu hai,
Har lamhe me tu samaya hai,
Jane anjane kyun, tu hi
apna hai tu hi paraya hai,
Saanso se bandhi hai jo,
Tu hi meri kaaya hai..
Tera hi saaya hai,
Jo aankhon pe chaaya hai,
Ab manzil jaani hai maine,
Jab tujhko paaya hai..

Teri muskurahat ki khatir hi,
Ye dil fir muskuraya hai,
Khone kar darr kyun ho,
Faaslo ko jabse mitaya hai,
In baaho me milta hai sukoon,
Jo aur kahi na maine paya hai..
Tera hi saaya hai,
Jo aankhon pe chaaya hai,
Ab manzil jaani hai maine,
Jab tujhko paaya hai..

Luv, Aslam (:
Dated : 17th August 2011