Main kaun hoon..
Ghira hua hoon apne hi lahu se,
Apne hi dard ko baha diya maine,
Kyu mujh me hazaro khwab toote hai,
Jo silsila ye khatm ho to jaan lu,
Main kaun hu, main kaun hu..
Kya ehsas hota hai kya pyar hota hai,
Bhoole bisre se panno me likh chuka,
Usse bhi gehre ye mere ghaav hai,
Usse kai gehri ye meri chot hai.
Jo mujhe ye yaad dilati hai har lamha,
Mera wajood main khud dhund raha,
Kahan main jaa raha hu,
Kya main paa gaya hu aur kya main kho chala hu,
Main kaun hu, main kaun hu..
Koi mujhe ye keh kar gale laga jata hai,
Koi mujhe wo keh kar daga de jata hai,
Main ulajh gaya hu apne hi sawalo me,
Doob gaya hu bikhre khayalo me,
Na koi jawab deta hai, na koi raah bata pata hai,
Jo bhi aata hai, mera aks mita kar chala jata hai,
Kuch bheege lamhe main jodta reh jata hu,
Na kuch theherta hai, na main kuch sama pata hu,
Main kaun hu, main kaun hu..
Jo haal na jane wo katil mera hai kahan,
Hosh sambhale main jaun to jaun kahan,
Meri yaado ki laashen bichhi dekhi hai maine,
Barbad apna jahan main lutaun to lutaun kahan,
Band hi ho jaye ye saanse to puch lu,
Mujhe apno ne maara ya gairon ne maat di,
Dushman mere ho ya dost mere, main tujh me bhi apna ek shaks dhundta hu,
Ajnabi main apne liye ban gaya, tere liye kaun hu,
Main kaun hu, main kaun hu..
Ek waar kahin se mere mann me fir chalaya hai,
Jo ujdi hui hai yaadein unhe fir kisine jalaya hai,
Cheekh rahi meri ruuh mujhe pukar rahi hai,
Chodh chalu ye jeene ki hasrat ye keh rahi hai,
Bewajah kyu tooti tasweere rangeen si lagne lag gayi hai,
Band darwazo me kyun main zindagi tatol_ta reh jata hu,
Main kaun hu, main kaun hu..
Luv, Aslam (:
Dated : 27th Feb, 2013