Infolinks

Thursday, July 9, 2009

Ek Choti Si Khwaish....

Khwaishon ka apna ek asmaan banakar,
ud chalo ke hamein bahot duur jaana hoga..

Khoob haso,khoob jiyo,khoob manaa lo khushiyan,
aur kuch khwab bhi sajaa lo ki ye safar bahot suhana hoga..

Khud ko aazmaa kar dekh lo is manzar pe,
jeet lo phir ke ye jahaan tum hi ko sajana hoga..

Aaj jo mili hai wahi zindagi apni hai,
tay karo manzil aur ye raasta tum hi ko banana hoga..

Kaamyabi ki seedhiyan chadhte raho is tarah,
ke ek din chand pe ghar tum hi ko banana hoga..

Khatam ho jayega ye sab kuch ek din,
ke phir maut se bhi zindagi churana hoga..

Badlega ye jahan un sitaron pe jaakar,
bas ek baar hamein us aasmaan ko jhukana hoga..

Bataa do ki hauslon se jeet sakte hai duniya,
hamein bas ek baar haathon se haath milana hoga...!!!

© Luv, Aslam (:

No comments: