Infolinks

Saturday, December 5, 2009

Ehsaas...

Maine har pal chaaha hai tujhe,
Har ghadi maanga hai tujhe
Saanson se juda hokar bhi
Jeene ka sahara maana hai tujhe

Ehsaas hai har lamha jo guzra
Barso intezaar ka nazrana maana hai tujhe
Tere aankhon mein dekha hai jahaan
Meri duniya ko ab sajaana hai tujhe

Palko ki nami ko rok le
In aansuon ko ab bhulana hai tujhe
Mehekti rahe teri zulfe hamesha
Is tarah apne paas bulana hai tujhe

Koi rok na paaye meri aahon ko
Apni aahon se mere dil ko sehlana hai tujhe
Ab to maut bhi na juda kar paayegi
Mere pyar ke saagar me dub jaana hai tujhe
Yun apni dhadkan me chupana hai tujhe!!

© Luv, Aslam (:
Dated 10/11/2009

No comments: