Aaj main dhool lapet kar so jaoon bhi to kya,
Aaj main tanha fanaa ho jaoon bhi to kya,
Kal jo mere saath the jugnu sab jal chuke hai,
Aaj roshan karne duniya gar khud ko jalaun bhi to kya..
Kuch aashiyane meri zindagi se viraan ho chale hai,
Aaj main khali diwaron se batiyaun bhi to kya,
Aarzoo jo meri kabhi bayaan ho na saki kyun,
Aaj unhi khwahishon ke daldal se khud ko bachaun bhi to kya..
Tadapne do ke main shayad ek aakhri dafaa use pukar loon,
Aaj yun hi sar e aam main bewafa kehlaun bhi to kya,
Mere khushi ke pal saare bechaini me beh chale hai,
Aaj main teri ibadat me sukoon ke do pal bitaun bhi to kya..
Luv, Aslam (:
Dated : 22th July, 2012
No comments:
Post a Comment