Dil ke kareeb rahi hai wo,
usse ab duur jaana aasaan nahi..
Mere khayalon me sajaya hai usko,
yun dil ko jalaana aasaan nahi..
Aansu tapak ke ye hi duhayii dete hai,
is barsaat me bheeg jaana aasaan nahi..
Kaise tanha guzri hai zindagi,
ye bataana aasaan nahi..
Kaise jude hai sheeshe ke tukde,
ye samjhana aasaan nahi..
Kyun chalta raha hoon talash me kisiki,
palko pe jab kisiko bithaana aasaan nahi..
Wo meri taqdeer si ban gayi ab,
is baat se mukar jaana aasaan nahi..
Adhura sa hu main uske bina,
ab meri kahani mukammal kar paana aasaan nahi..
Aankhein karti hai jo raaz bayaan,
us kahani ko padh paana aasaan nahi..
Jeena nahi akele bas itni si khwaish hai,
ab usko paaye bina mar jaana aasaan nahi!!
Luv, Aslam (:
Dated : Long Long Time Ago!
No comments:
Post a Comment