Bahaar mein phir khilne ko jee chahta hai..
Aaj yun hi kuch likhne ko jee chahta hai..
Aankhon mein basaya hai humne har pal use,
Aaj phir usse nazarein milane ko jee chahta hai..
Kyun chal pade us rehguzar par har sehar,
Jab shehron me ghar basane ko jee chahta hai..
Sukhe patton ki tarah hamari nazarein bol padi,
Ki aaj phir daaman bhigone ko jee chahta hai..
Pyar mein deewane ho gaye hum is kadar,
Ab is diwangi mein beh jaane ko jee chahta hai..
Unki surat mein hai hi itna noor ki,
Aaj dil ka har chirag jalaane ko jee chahta hai..
Uske honton se har sargam sajaa dene..
Uski aankhon se har gham ko chura lene..
Uske har kadam se kadam milane ko jee chahta hai..
Zindagi bhar ye saath nibhane ko jee chahta hai..
Dil mein uski tasweer kar ke roshan,
Aaj yun hi kuch likhne ko jee chahta hai..
Luv, Aslam (:
Dated : Long long time back!!
No comments:
Post a Comment