Infolinks

Wednesday, April 11, 2012

Khamoshi..

Aaj fir yun hua ki main zindagi se ulajh pada hu,
Khamosh in rahon par tanha sa khada hu,
Mujhe na koi ehsaas hai kisi gham ka,
Na khushi mere koi kaam aa rahi hai,
Main dhundta jata hu us anjaam ko,
Par kahin se na koi sada aa rahi hai,
Jab bhi main bolu tab bolte hai ye pal,
Ki mujhe kyun ye tanhai sata rahi hai,
Duniya ki bheed me ye shor bhi chup hai,
Main kahu to bhi kya nasamjhi ki baatein,
Bolti ye meri dhadkan tumhe bula rahi hai,
Padh sako to ye meri aankhen padho,
Jo ek guzre hue waqt me kho jati hai,
Baithe baithe yaadon me gum rehte hai,
Ek dastan zindagi bayan kar jati hai,
Mere hone par kyun sawaal uthte hai,
Mere wajood ko benaqaab kar jati hai,
Kyun ye zindagi mujhe jeene nahi deti,
Kyun mere khwabon ko andekha kar jati hai,
Barsaaton me bhi main pyaasa sa khada hu,
Aaj fir yun hua ki main zindagi se ulajh pada hu..


Luv, Aslam (:

No comments: