Ek hissa tera jo ab bhi mujh me kahin baaki hai,
Teri mehek ka asar jo bana raha mujhe saaki hai,
Boond boond piye jaa raha hu ghum yun apna,
Honthon se siye jaa raha hu behta hua har lamha..

Laut aane do mujhe fir unhi guftugu ke parcho pe,
Doob jaane do in khamosh si aankhon ke toofano me..
Ahista ahista kadam badhana hi hai rivaaj zindagi ka kyun?
Lamba sa safar hoga chand yun to hai hi abhi aadha kyun?

Pukarti hai meri rooh tere jism ki panaahon ko,
In hatheliyon ki adhuri si kuch lakeeron ko
tum poora kar do, de do zindagi ki dua mujhko,
Bebasi aur tanhai se ab to kar do riha mujhko..

Misaal ban jane do jo qayamat tak log yaad rakhe,
Tera nasha ab mere sar chadh kar bol raha hai,

Khwaabon se nikal kar dekho ye haqeeqat ka aaghaz hai,
Dil ki dooriya tay kar lete hai, chand to fir bhi paas hai..

Love, Aslam (:
Dated : 16th February, 2014
No comments:
Post a Comment