Infolinks

Sunday, February 16, 2014

Nanha Sa Suraj..

Nanha sa suraj har subah hi aksar
Kya neend se jaagne se darrta hoga?
Angadayi leta hua bistar par apne
Fir 5 minute sone ki zidd karta hoga??

Har raat aankhe aasmaan par lagaye wo
Kya taaron ki roshni me jagta hoga?
Chupke se chand se milne ko kya
Thandi Thandi aahen bharta hoga??

Jab garajte hai badal aur bijliyan chamakti hai
Kya wo seham kar maa ke aanchal se lipatta hoga?
Toote koi taara jab aasmanon me wo
Kya aankhen moond kar mannate karta hoga??

Love, Aslam (:
Dated : 11th February, 2014

No comments: